Jummay ke din hajtein poori karanay ka wazifa | All wishes will be fulfilled Today | Islamic Wazaif New video by Islamic Wazaif Official on YouTube


This is the title of the video “ Jummay ke din hajtein poori karanay ka wazifa | All wishes will be fulfilled Today | Islamic Wazaif “ Assalam o Alaikum Brothers and Sisters , Aaj ki video ka khulasa Aaj ki is video mein baat ki gayi hai jummay ki. Aur bataya gaya hai ke jummay ke din ko sardar al ayyam kaha gaya hai. Kyun ke is din ko ummate Muhammadiyah SAW ke liye khaas fazeelat bakhsh gayi hai. Is din ko is ummat ke liye ibadat ka din kaha gaya hai. Aur is din ki Barkaat ki wajah se is din ke be shumaar wazaif hain. Jo ke aqabreen ne batlaye hain. Aaj ki video mein hum aap ke liye jummay ke din ka jo khaas wazifa laaye hain. Woh wazifa aik khaas droodِ pak ka wazifa hai. Jo ke bohat hi aasan durood pak ka hai. Is wazifa ko aap ne jummay ke din asar ke baad karna hai. Kyun ke riwayaat mein jummay ke din qabuliat ki jin gharion ka zikar milta hai. Un mein asar ka waqt bhi hai Dostoo. .. yeh wazifa bohat hi lajawab wazifa hai. Jo ke doulat ke liye khaas hai. Aur is ke waseela se aap jo bhi dua Allah taala se mangeen ge. Insha Allah qubool ho gi. Allah taala se doulat mangeen. Ya koi aur sawal karen. Allah ke fazl se aap ki dua qubool ho gi. Is wazifa ko aap –apne kisi bhi maqsad ke liye kar satke hain. . aap apni pareshani ke liye is ko kar saktay hain. Aulaad ke liye, kaarobar ke liye, khuwa koi bhi haajat ho aap is ko apni kisi bhi haajat ke liye kar satke hain .wazifa bohat hi power full hai is liye is ko aap ne poooray yaqeen ke sath karna hai. wazifa jitne yaqeen ke sath kya jaye ga is ka assar itna hi jaldi hoga. aur wazifa ki qabuliat ke liye namaz ka parhna laazmi hai . agar aap ko hamaray kisi wazaif se Muajzaat haasil hue hain to aap is ko hamaray sath comments mein share kar satke hain . #islamicWazaif #IslamicWazaifOfficial #hajtein_poori_karanay_ka_wazifa ►Video URL★https://youtu.be/_9DCzQi-ZrU ►Disclaimer★ In this video some contents are used for educational purpose under fair use.Copyright Disclaimer Under Section 107 of the Copyright Act 1976, allowance is made for "fair use" for purposes such as criticism, comment, news reporting, teaching, scholarship, and research. Fair use is a use permitted by copyright statute that might otherwise be infringing. Non-profit, educational or personal use tips the balance in favor of fair use. ►Our Mission: Hamara maqsad tamam musalman behnoon aur bhaiyon ko Islami talemaat se aarasta karna aur khasosan inhen firqa wariyat, rang o nasal aur zabaan ki zanjeeroon se nijaat dilana, bundon ko bundon ke sath milana, aur bundon ko wazaif ke zariye Allah taala ki rehmaton se jorna hai. Hamari videos mein Islami Wazaif, Health tips, Khabrain, Islami kahaniyan, Samaji mein paish anay walay waqeat aur mukhtalif malomati videos shaamil hain. aur un tamam videos ka maqsad muashray ki rahnumai karna hai . aap sab se guzarish hai ke hamaray channel par videos dekhen aur hamaray channel ko subscribe bhi karen. shukriya .

Comments

Popular posts from this blog

Sajde Mein Jakar Allah Ka Ya Aik Naam 100 Baar Parh Lein Farishte Rizq Ki Boriyan Bhar Kar Leingay New video by The Urdu Islamic Teacher on YouTube

Mushkilat Ke Hal Ke Liye Surah Fatiha Ka Amal Qismat Ky Faisle Karwa Len New video by Wazifa Online Official on YouTube